100 Best Urdu Shayari about Love – Urdu poetry on Love
Urdu Shayari about Love is full of emotions. The Urdu Poetry is at best to show your sadness, love or any other emotions with words. Urdu shayari is so touching that it can literally make you cry even if your heart is not broken. Some of the popular and famous urdu shayar are Mirza Ghalib, Faiz Ahmad Faiz, Gulzar, Javed Akhtar, Ada Jafri, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Bashir Badr, Majrooh Sultanpuri, Rahat Indori, Parveen Shakir, Nida Fazli, Ahmad Faraz, Wasim Barelvi, Jaun Elia, Mir Taqi Mir, Aqbar Allahabadi, Muhammad Iqbal, Kaifi Azmi, Ibn-e-Insha, etc. They are the most popular names in the Urdu Poetry. Here are some love shayari given below, most of them are sad and for broken hearts. Some Shayari are on love and some are motivating Shayari on life. These are the new 2020 mixed collection of over 100 best shayaris picked and written from the different sources.
Urdu Shayari about Love and life
ki kya kaha, usne mujhe chhod diya hai?
alfaaj durust karo saheb,
Usne mujhe kahi ka nahi chhoda
Jaane wale se ye gila,
Ke wo jakar bhi kyu nahi jaata
Wo jo kabhi dil ki dhadkan sunta tha,
Aaj sunta he nahi siskiya meri
Fir aayenge ek umer pyar ki likhwa kar,
Fir tere hokar rahenge sada ke liye
Tu jo soye to meri tarah,
Ek pal ko bhi qarar nahi
Wahan wahan se uthwa di deeware maine,
Jahan jahan se tera ghar dikhayi deta tha
Yaadon ki kitaab utha kar dekhi thi maine,
Pichle saal is din tum mere the
Meri ankho’n mein ye qadmo’n ke nishaan to dekho,
Kis taraf laut gya khwaabon mein aaya hua shaqas
Ab tum mujhko paane ki tadbeer karo,
Ab main tumko khone par aamaadah hoon
Kabhi jo bhulna chahu na jane kyu,
Mere dilbar mujhe tum yaad aate ho
Suljhana he padega tumhe ya masla zindagi ka,
Tum aaye he kyu the zindagi me agar tumne jana tha
TuMne NiKaLte To Dekhenge He Honge JanaZe Armano Ke_?
HumNe KhuL_e_Aam DafnAya Hai ApNi KhuwaHisho’n Ko_!!
Mohbbat ki aaj yu bebasi dekhi,
Usne tasveer to jalayi magar raakh nahi fenki
Shifa deta hai zakhmo ko uska marhami lehja,
Magar jo dil pe chalte hai wo khanjar bhi usi ke hain
Ishq barbad na kare to,
Khaak ishq hua
Wo rooth jaata hai aksar shikwa kiye baghair
Hum bhi to seh jaate hai shikayat kiye baghair,
Hum sochte rahe mohabbat be-lous hoti hai
Ye yoon he ho jaati hai kiye baghair,
Tu kitna nadaan hai itna to soch le
Jannat kab milti hai ibadat kiye baghair,
Isme qasoor unka nahi humara hai
Mohbbat ki bhi to unki ijaazat liye baghair
Chalo acha hua dhundh padne lagi warna,
Door tak takti thi ye ankhe usko
Baat ye nahi ki tu jhooti thi
Or tere vaade kache nikle,
Dukh to is baat ka hai
Ke log sache nikle
Baat sirf itni si hai ke,
Najro se gir gye ho, dil se uter gye ho.
Raakh ko bhi kured kar dekho,
Ab bhi jal raha ho koi armaan shayad
Jo mila ham ko gawara na huwa
Jo hamra thha hamara na huwa_!!
Pichle baras tha khauf tujhe kho na doon kahin
Ab ke baras dua hai tera samna na ho!
Ek gareeb Sara din mehnat krta hai
Fir uske ghar me roti banta hai__
Yaha toh aashiqo ke Marne ke baad kafan milta hai
Aur Haseena Marti hai toh Taj Mahal banta hai
Tum Jo Bichdey The Jald Baazi Mein
Yaar Tum Rooth Bhi To Sakte The
Thoker Khaya Huwa DiL Hai Saheb
Bhid Se Ziyada Tanhayi Achhi Lagti Hai
HumaRi Kuch Tasveere Kahin MehFooz KaR Lena.
MustaQbiL Me SawaaL Uthega Aakhir Voh Tha Kaisa.??
JAB TARA TOOT SKTA HAI
TO DIL KYA CHIZ HAIN_!!
Chalo Dil Ki Adla-Badli Kar Lein,
Tadap Kya Hoti Hai Samajh Jaoge_!
TUM PAR SHAK KRNA GALAT THA_
LEKIN SHAK EK DUM SAHI THA_!
Khair Ab kar bhi kya Sakta hu yaar,
Karta Hu us se Jo Pyar,
Bus mere Naseeb me likha hai Intezaar , intezaar aur sirf intezaar
Galti hui ki tujhe jaan se bhi jyada chah baithe,
Kya pta tha ki meri itni parwah tujhe la-parwah kar degi.
Nikle hum duniya ki bheed mein to maloom pada,
Har wo shakhs tanha hai jisne mohbbat ki hai
Kitna roya tha main teri khatir,
Ab sochta hoon to hasi aati hai
Hum rakhte hai taluk to nibhate hai jindagi bhar,
Humse badle nahi jate rishte libajo ki tarah.
Usne sharmake mere sawalat pe,
Aise gardan jhukai maza aa gya..
Ek taraf zehar tha ek taraf sharab saqi,
Ghamo’n se chur tha main dono mila ke pi gya….
Tere baad na ayega meri zindagi mein koi or,
Ek maut hai jiski main kasam nahi deta….
Wo yaad karega jis din meri mohbbat ko,
Royega bohat phir se mera hone ke liye….
Jab chale to tanha the safar mein,
Fir tum mile, gum mile, tanhayi mili, qafla sa ban gya….
Aur kuch nahi hota to bhari barish mein main,
Tujhse bichde rasto’n pe safar karta hu…
Tere wajood se thi sabhi ronkein or ye gulistaan abaad,
Ke tere baad is duniya ko hum veeran likhte hain….
Aadat mujhe andhero’n mein darne ki dal kar,
Ek shakhs meri zindagi ko raat kar gya….
Mere marne ke baad bhi uski mujhe jalane ki aadat nahi gayi,
Phool ab bhi wo mere sath wali qabar par he rakhta hai….
Abhi toh saath chalna hai samander ki musafat mein,
Kinare par dekhenge kinara kon karta hai..
Ae ishq tune rula ke rakh diya,
Zara puch to meri maa se kitna ladla tha main….
Aa thak ke kabhi pass mere baith to humdam,
Tu khud ko musafir mujhe deewar he samajh le….
Lagta hai is baras mohbbat ho he jayegi,
Maine khwab mein khud ko marte dekha hai….
Kitna haseen hai hum dono ka rishta,
Tera mujhse nafrat mera tujhse mohbbat karna..
Na pooch raat bhar jaagne ki wazahatein ae dil-e-nadaan,
Mohbbat mein kuch sawalon ke jawab nahi hote..
Ise itefaq samjho ya dard naak haqeeqat,
aankh jab bhi nam huyi wajah tum nikle.
Arsa bita, zindgi biti, sab kuch bita lekin phir bhi,
Jo ishq me biti, allah jane, ya wo jane, jis par biti….
Us shakhs ne ankhon se tablegh he yun ki,
Ke main bhi bin soche mohbbat pe emaan le aaya….
Zindagi mein jo maangi thi apne liye,
Wo tamaam duayein tumhare naam karta hoon…
Barish hui to ghar ke dareeche se lag kar hum,
Chup chap so bar tumhein sochte rahe…
Wohe apni ratz-e-wafa rahi wohe unki mashq-e-jafa rahi,
Wo zulam karte hain is tarah jaise mera koi khuda nahi…
Mukhtasir ye ke ab tumhare bin,
Zindgi kya hai hume samjh nahi aati..
Luta kar har cheez manzil-e-ishq ki raah mein,
Main hans pada hoon aaj khud ko barbaad dekh kar..
Jazbaato’n ke khel me mohbbat ka saboot na maango humse,
Humne wo aansu bhi bahaye hai jo hamari kismat mein na the…
Tumhare paas nahi to phir kis ke paas hai,
Wo toota hua dil aakhir gya kahan…
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Aur kuch roz tere saath guzara kar ke..
Meri pagal si mohbbat bohat yaad aayegi tumhe,
Jab hasane wale kam aur rulane wale zyada honge….
Sirf dil he daao pe lagaya tha,
Tum to jaan lene tak aa pahunche.
Hairan hoon ke muddat-e-qalal mein dosto,
Wo shakhs meri soch se zyada badal gya
Sad Urdu Poetry (Shayari) on Love and broken heart
Jisam mein dard ka bahana sa bna kar,
Hum toot ke rote hain teri yaad mein aksar…
Tumne dekha hoga andhe ko kisi ka hath pakar kar chalte,
Maine mohbbat mein tujhpe yun bharosa kiya tha..
Agar main zakhmo’n ko shumaar karu,
To teri taraf mera kafi hisab niklega.
Tum agar do ijazat to chand lafzon me keh du,
Ke tum bin mar to sakte hain tum bin ji nahi sakte..
Faqat tum mil jao to main yu samjhunga,
Elaan-e-janat ho jaise kisi gunah gaar ke liye..
Na jaane is zid ka nateeja kya ho,
Samjhta dil bhi nahi, tu bhi nahi, or main bhi nahi…
Tanhai ki raat kat he jayegi itne bhi hum majboor nahi,
Dohra kar teri baato’n ko kabhi hans lenge kabhi ro lenge
Socha tha ke kabhi bhi pyar na karenge,
Magar badal diya irada use dekh lene ke baad.
Khawab khayal gum tanhaiya andhera,
Choti si to jindagi hai meri bhala kis kis ke saath gujarunga.
Bekhabar or shaan se sone wale,
Raat bhar pukara hai meri tanhai ne tujhe
Jab bhi use bhulne ki koshish karta hoon dosto,
Mere ander koi hai jo meri himayat nahi karta.…
Har sham chiragho’n ki tarah jalti hain ankhe,
Kya koi chala jaaye to yun hota hai..
Akal aayi thi mashwara dene,
Ishq ne muskura ke taal diya..
Usne mujhe chor diya to kya hua,
Maine bhi to chora tha saara zamana uske liye
Milna to hum tab bhi chahenge unse,
Jab humare pas sanso ki or unke pas waqt ki kami hogi…
Taskeen-e-mohbbat ke faqat do he tarike the,
Ya dil na bana hota ya tum na bane hote….
Hath zakhmi huye to kuch apni he khata thi,
Lakiro ko mitane chala tha kisi ko pane ke liye..
Mudto’n ke baad us la-parwah ne,
Hal puch kar fir wohe hal kar diya.
Aakhri mulaqat se mujhe bas yahi maloom hua,
Ke use dushwar lagta tha mujhse taluq rakhna
Shayriya padh kar bura lage to bata dena dost,
Dard bantne ke liye likhta hu dard dene ke liye nahi….
Jis kadar tumne bhula rakha hai kabhi sochna,
Hum sab kuch chorkar nikle the ek teri mohbbat ki khatir….
Samay baha kar le jata hai naam or nishan,
Lekin koi hum mein reh jata hai or kisi mein hum….
Kabhi mujhe dhundhne ki koshish bhi mat karna,
Tune raste badal liye to humne manzela he badal li….
Ruksaar pe paseena tez dhadkan aur halka sa ehsas-e-haya,
Uspe kya kuch beet gya ek mere hath pakdne se….
Judai ki saza badi taklif deti hai har din mujhe,
Agar deewar mein chunwa kar jate to acha hota….
Is se jyada or kya dard de hum apne apko,
Ye kafi nahi ki hum tere bin rehne lge hain….
Saansein to bus numaish hai,
Zindagi to meri bus tum the….
Sirf tujhe manga hai uske baad,
Sab kuch tere liye manga hai….
Sirf main hu main hu or main hu uske dil mein,
Le doobi mujhko ye galat fehmi meri…
Kiski panah mein tujhe guzaru ae zindagi,
Ab to rasto ne bhi keh diya ghar kyo nahi jaate…
Kya husn tha us gali mein,
Kisi kaam se gye the fir kaam se gye..
Kabhi na kabhi wo mere bare mein sochega jaroor,
Ek pagal tha jo sirf mere liye he pagal tha…
Ye gum nahi ki dil mera tujh jaisa khudgarz hota,
Gum ye hai ki ab tujhe mere dard se bhi dard nahi hota..
Log shameel the or bhi lekin,
Dil teri koshisho se toota hai..
Vaada dono ne kiya tha jeeyenge marenge ek sath,
Fir kahi jisam neela hua kahi hath peele huye..
Patthar Jaisa Kisi Ka Dil Na
Ho…
Bikhare Huye Sapne Kisi Ki
Taqdeer Me Na Ho…
Koi Kisi Ko Chahe Toh Woh
Usi Ka Ho Jaye…
Warna Umar Bhar Ka Intezar
Kisi Ke Nasib Me Na Ho….
~~THE END~~
Thank you for reading “ Urdu Shayari about love (Urdu Poetry on love)” till this end.
If you have any comments, complains or Suggestions to Wishes in Hindi please comment down
or,
Email us at [email protected]
or
Fill this contact form: click here for the contact form